Intro O maajhi re! O maajhi re! Apana kinaara, nadiya ki dhaara hai. O maajhi re! Apana kinaara, nadiya ki dhaara hai. O maajhi re! verse 1 Saahilon-pe behane-waale, kabhi suna to hoga kahin? Oh! Ho! Kaagazon ki kashtiyonka kahin kinaara hota nahin. O maajhi re! Maajhi re! Koi kinaara, jo kinaare se mile woh, apana kinaara hai. O maajhi re! Apana kinaara, nadiya ki dhaara hai. O maajhi re! verse 2 Paaniyon mein beh rahe hain, kai kinaare tootey huye. Oh! Ho! Raaston mein mil gaye hain sabhi sahaare chhootey huye. O maajhi re! Maajhi re! Koi sahaara majhadhaare mein mile jo, apanaa sahaara hai. O maajhi re! Apana kinaara, nadiya ki dhaara hai. Nadiya ki dhaara hai... Nadiya ki dhaara hai...