Intro Zindagi ka safar, hai yeh kaisa safar - Koi samjha nahi; koi jaana nahi. Zindagi ka safar, hai yeh kaisa safar - Koi samjha nahi; koi jaana nahi. Hai yeh kaisi dagar? Chaltein hain sab magar. Koi samjha nahi; koi jaana nahi. verse 1 Zindagi ko bohut pyaar humne diyaa. Maut se bhi mohabbat nibhaaenge hum. Rote-rote zamaane mein aaye magar. Hanste-hanste zamaane se jaaenge hum. Jaaenge par kidhar, hai kisey yeh khabar? Koi samjha nahi; koi jaana nahi. verse 2 Aise jeevan bhi hain, jo jiye hi nahi. Jinko jeene se pehle hi maut aagayi. Phool aise bhi hain, jo khile hi nahi. Jinko khilne se pehle fiza kha gayi. Hai pareshaan nazar; thak gaye chaahakar. Koi samjha nahi; koi jaana nahi. Outro Zindagi ka safar, hai yeh kaisa safar - Koi samjha nahi; koi jaana nahi.